Wednesday, March 2, 2011

Dil

Dil ka haal bayaan kare toh kaare kaise
Dil se baat chupaye toh bhala kaise
Dil sunta hai kisi ki kahan
yeh toh bhatakta hai aawaron ki tarah

kabhi ruth jaata hai yuhin
kabhi sur gungunata hai naye
kabhi ithlata kabhi itrata hai kahin
kisi par aa jaye toh chanchal ho jaata hai kahin

choti choti khushiyan manata hai yeh pagla
ruth jaaye toh ro deta hai ek pal main
ilteja hai use jise dil denge yeh
sambhaal kar rakhna naazuk hai bada yeh

tootega toh aawaz aayegi nai
chot itni gehri lagegi ke dikhayi degi nai
shayad phir yeh pyaar kaar na paaye
agar pyaar main dhoka yeh khaaye

Dil ki baatein tumhe aur sunaye kya
isse bada raaz duniye main hai hi kahan!!

No comments: